Usi rawish pe hai qaaim mizaaj e deeda o dil…?
Lahoo mein ab bhi tarrapti hein bijliyaan kay nahin…?
Zameen pe ab bhi utarta hai asmaan kay nahin…..??
Kisi kay jaib o garebaan ki aazmaaish mein
Kabhi khud apni qaba ka khayaal aata hai…!
Zara sa waswasa e maah o saal aata hai….??
[…kabhi ye baat bhi sochi keh muntazir aankhein
ghubaar e raah guzar mein ujarr gai houn gi
nazar say toot chukay houn gay khwaab kay rishtay
wo maahtaab si neendein bicharr gai houn gi….]
.
.
.
.
….Niyaaz e khwaaj`gi o shaan e sarwari kiya hai
Sha`aar e mushfiqi o tarz e dil`bari kiya hai
Ye bai rukhi, ye adaa e sitam bhi dekhein gey
Hamaari umr kay ho lo, tau hum bhi dekhein gey….
[probably by Mr Mustafa Zaidi]
Advertisements
realistic , beautiful long verse !
On Sun, Feb 14, 2016 at 12:23 AM, Madd o Jazar wrote:
> Umer posted: “Usi rawish pe hai qaaim mizaaj e deeda o dil…? Lahoo mein > ab bhi tarrapti hein bijliyaan kay nahin…? Zameen pe ab bhi utarta hai > asmaan kay nahin…..?? Kisi kay jaib o garebaan ki aazmaaish mein Kabhi > khud apni qaba ka khayaal aata hai…! Zara sa wa” >
LikeLiked by 1 person
“The time you realize your father was right, you have a son who thinks you are wrong..”
🙂
LikeLike